Yahan  link  building Strategy Awar Is Ki Ahmeyat Per .
jesa Ky Aap janty Hain Ky Aap ky webbsite Ka Link Kisi Dosry Website Per Hona Backlink Kehlata Hay.
 Aap Sochyngy Is Ki kya Zaroorat Hay .
Awar Aysa keon Kya Jata Hai.
Is ka Asan Sa jawab ye Hai.
Aap ki Website Ka Link Dosri Website Per Hona Aap ki website Ka Reportation Ko Zyada (Bara ) Deeta Hay.
Awar Gogle Rank page may Izafa Karta hay.
Aap Soch rahy hongy ye Page ranke kya Hota hay .Tu Is ky bary Bat ho Jae .



  •  Page Ranke

Aik Zamany Main Page Rank ki Buhut Ahmeyat Thi. Lakin baad Main Google ki nai Updates Mai Is Ki Ahmeya Kam Ho gai Awar kuch Nai Chezain Agai.
Awar Is Ki Ahmeyat Pehli Jeesa Nahi Rahi.Ab kisi bhi website Ki Mayear Ko deekhny Kay lye Google Nay Moz.com Awar Is k Alawa Awar Sites Mutaaraf Ki Hay.
(domain Authorty Mutaraf ki hay jo google rank ki jaga lay rahi hay.)

Page Rank Google Ka Aik Analysis Algorthum Hay.Awar Ye 4 Months Baad Update Hota Hay.
Awar is ki Average 10 Say 0 Tak Hay.Awar aik Page Rank 3 Tak Hota Hay.
google Apni Guide Line Kay mutabiq Hamary Website Ka Page Rank Har 4 Uper Neechy Karta Rehta  Hay.
Agar hamri Website Ka Page Rank Achi Hay Awar Is ki Gudeline Per Pori Utry hay tu Wo Page Rank Bara Deeta Hay.
Awar Agar Hamari website ka karkardagi us ki gudeline ki mutabiq achi na ho tu wo page rank vera deeta hay. 
Google Ki guide line kya hay jiss ki waja page rank barahaya jata hay?



  • Quality Backlinks

Aik Zamany Main Hamary Website kay jitny Backlinks hoty thy Utna Hamara website Ka Page ranke Acha Hota Tha .
Lakin Ab Serf Wo Backlinks Ahmeyat Rakhty Hai Jo Google Ki Nazar May Ahmeyat Ho.
Jiss Website Par Hamary Backlink Hay Wo Google Ki Nazar Mai Ahmeyat Ka Hamil Ho.
For Example Jiss Website Per Aap ka backlink mojood Hay wo Us Website ka page Rank ap kay website say zyada ho 
.Aap ka backlink Aysy website jiss ka yopic aap ky website jesa ho.Jesy Aap ka website tech topic per ho. 
to aap ka backlink bhi Tech website per hony chahye .
Aap ka backlink aap ki targeted keyword per hona chahye .
Deep Backlink Banana.
Ye bhe  koshish kejeye ki aap ka backlink na serf homepage per ho. balky aap ki site k andar jo pages ho us ka bhi backlink Targeted Keyword per hona chahye .


  • Do Follow Backlinks Awar No Follow Backlinks 
Agar ham serf dofollow backlinks banaye gy tu aik k bad khatra paida ho sakta hay.
ky google us ko spam ky toor per lay lega 
is lye hamain no follow links bhi banny party hain.
Is Lye un doono links ka ratio aysa acha ho ke google hamain spam na karain .
Hamara ratio kuch aysa hona chahye 
 Ky 65% hamary Do Follow links ho Awar 35% hamary no follow links ho.
Agar ham  Kisi Back link per wright click 
ker kay Inspect Alements main deekhy awar agar in ka code aysa ho Tu Ye Do Follow Link Hay .



  • Quality Content 


Jab Ham Kisi Website Ko Open Karty Hain.Tu Hamain Jo Kuch Bhi Us Website Par Nazar Aata Hun.Ye Is Website Ka Content Hay.

Jesa Ky Images Text Videos Etc .
Agar ye Sab Content Google Kay Mayar kay mutabiq Hay .Tu Quality Content hay .Awar Google kay Mayar Kay Mutabiq Usy Acha Awar Behtar Tasawwar keya Jaega .
Is Kay elawa Jab Aap Apni Website Ki online Markeeting Karty Hain.
tu us ko bhi Mayari Hona Chahye .ab Aap kahaingy Keh Hamain Kesy Pata Chala Jaega Ke Quality Content Hy Ya Nahi.
tu farz karain agar ham apni website ka text he lai lain .Tu Hamari website Ka Jo Text Hain us Main Grammar mi ghaltyan nahi honi chahye .
Kahain Say copy ya duplicate na hoo.Awar Original Awar yoneek Ho .
Agar majboori Ki Baes Kahain Say Copy Kia Hay .tu Article ky End may us website ka hawala likhain.
Is taxt Main Keywords Ka istemal behtareen andaz main kya gya ho.Awar Aik awar aham bat aap ki website update hoti rehni chahye .
Awar update Content Ki Mojoodgy Aap ki Site Ko Behtar Ranking Day gy. Awar Image Ki Baat Karain .Tu is Ko Jald load Hona Chahye.
Ta ke Website Ka load hony ka time ahista na hony paye.Aysi tarah vedeos ka bhi load time kam hona chahye .

●website ko mukhtalif search engenes may submit karna .
Populer search Engenes may apni Site Ko Submitt karain. jesa ky. 


/Bing 
 waghaira main.


  • Website ki online repotation


Wo kam jiss say Aap ki website ki online repotation barhy .

mukhtalif awar mayari websites per apni website ki repotation karny say aap ki site ki repotation barh jaegy.


  • Page Ranke.


Page Rank Aik "Link Analaysis Algorithm "hay .tu bunyadi toor per ye quality backlinks per he inhesar hota hay.

Awar Is Say ye Barhty Awar Dosry Achy Factors bhi us per azar andaz hoty hain.


  •  Backlinks


Aap ko chahye kay aap apni website per backlinks  banaye  jiss ka topic aap ki website ki tarah ho .

Awar Mukhtalif websites per apna backlinks banaye .Ye Na ho ke aik he website sa buhut sary backlins bamayain.


  •  Backlinks Kaisy Barhayen
  • Directory Submission
  • Blogg Comments 
  • Blogg Submission 
  • Social Book Marking 
  • article Submission


More Importent Tips .
Off page SEO and link Building .
Social Media Profiles 
Aap Ko Social Media Profiles Banany Hongay .Pagea Banany Hongay .
Pages tu Aap mukhtaluf bana sakty hain lakin Social media per mukhtalif  Sites per aap ka profile ya account aik he hoota hay.
Ye Buhut Zaroory Hai .Yahan Say aap ko free traffic milta hay .Awar loog jab share karty hain tu aap ko SEO kay Hawaly Say mazeed Achy Signels Milty Hain.
Aaj Kal loog Zyada Traffic Social media say hasil karty hain.
Social Media May aham Sites Kuch yoon Hay.
Facebook,Twitter ,Linkedin ,Instagram ,Pinterest ,Etc.
Is may Apni website ka mukhtalif Catagory kay pin boards bana kar is may share karain .
Awar grupes main apni posts ko share karain .profile awar pages banain awar article share karain.
Aap jaisy hi website banain ye aab bhi saath banain .
jab aap article share karty hain tu loog usy reshare karaingy .is lye ye lazmi hain ky aap jo kuch post karty hain wo us loogon sar related ho .awar wo is may dilchaspi lay rahy hoon.