Thursday, 9 January 2020

search engines google,bing,yahoo awar others main website kaisy submitt karain


search engines google,bing,yahoo awar others main website kaisy submitt karain





Add Your Website To Search Engines


Sab Social Media profiles may apni website ko add karain Pages Add karain .
Jahan jahan Aap ko Is Social Profiles Awar Pages May Mooqa (chance )mily apni website ko add karain kisi keyword kay sath ye shaid Dofollow backlink na bhi ho .
lakin phir bhi link to hay.
Groups May Sab Kay Pass Aap Ka Link Awar Post puhunch Jate Hay .
Jasy facebook grups ya linkedan kay grups lakin paves mai aysa nahi hoota .
is lye ho saky tu apni post bary related grups mai Share karainAwar Apni Website ka bhi ho saky tu grup bana lain.
Awar Is main Like minde people add karain .
is lye pehly din say he Social Follwing Join Karain Awar is say Faida Uthain.


  •  Adding Verifying Website On      Google.



Sab Say Pehly Website Ko Google Webmaster Tool Main Add Karain .
Agar aap ka account nahi bana two bana lain .
Awar Blogger is may Auto Add Hoota Hain.(Blogger Kay Tamplate Mai Ja Kar Edit HTML KarainAwar Jaan Head Tag Close Ho raha hay Wahan Code Ko Past Karna Hota hay)
Lakin Wordpress Site Ko Khud Add Karna Hota Hain.
Add Karty Waqt Http kk Hata Dain Tu Behtar Hooga .


  •  Adding Verifying On Bing.

Bing Main Website Add Karny Say Yahoo mai Auto Add Ho Jati Hay.
KeonkyYahoo Bing Ka Deta Istemal kar deeta hay Is Lye Yahoo Mai Bhi Site Index Ho Jati Hay .
Bing Microsoft ka Search Engene Hay.
Aap Wordpress may Aik Plug kar lain Jo Site Map Banany Kay Liye Istemal Hota Ho.
Is Say Aap Sites Map May Bhi Add kar sakty Hain.


  • Adding Sitemap To Google.



bwpgxx Sitemap plugi Wordpress
Say Google May Sitemap Instal Karain.

Map Aap ki site ki naqshy ko kehty hain.
Jiss main Sublinks ,Catagory ,Pages posts ,waghaira Sab Aajaty Hain Is Say Google Sab Kuch Add Kar sakta Hay.
Ye Buhut Zaroory Hai i plugin aay Auto Google Ko Batata hay. ke ham nay itni posts add ki hay.


  • Fetch As Google.


    Agar Aap Chahty hain google Apki Site links ki jald Add Kar Lain .awar aap ki website ki ranking jald start ho jae .
Google Webmaster Tol may Aik option hay .
Faeth as google  .Is may Ja kar Apny Homepage ko add karain . Ye tool Asal May Keh Raha hai .
Aap khud he google ko Represent kar ky unhy Site Kay Link Add Karain .
Awar feath per click karain.
Is Say aik Test Awar Bhi Ho Jata hai.
ke google aap ki website ko Achi Tarah Access kar pa raha hay ya nahi.
Feath karny kay baad Aap ko aik Option Nazar Ayega ."Submit To Index "
Is par Click Karain.
next option hogy "Croll Only This link"
Awar is kay bad wala option "Croll This URL and Direct links .
Aal nay dosry option ko Select kar layna hay.Is Say Aik Link May mojood dosry links bhi croll ho jaengy.


  • Update Post 

Site Submission To Active To Directreis .
Directreis Main Loog Website Ko Add karty Hain.
Awar Traffic Bhi Aati Hay .Aap Ka Link Bhi Add Ho jata Hay  Aksar Ye Do Follow Link Hota Hay .Pehly Us Ka Buhut Faida Hota Tha.
Ab kuch Arsa Say Google nay kuch Sakhti Ki hay Ab Koshish Karain Is Directer Main Apni Website Add Karain Jiss Ko Google Add Karta Hay.
Ab Ham serpBux Kholaingay Awar daikhaingy ky google nay hamari post index ki ya nahi Awar Wo Google may Kiss numver per arahi  hay. hamara keyword kiss number per hay.
Ham Nay Deekha Ky ham nay sitemap add kya Hamari Site Bhi Aarhi hay Awar Keyword Bhi Kuch Uper Aya hay.Ab aap nay Kuch Awar Kam Kam Karna Hay .
Kuch Den Baad Aap nay Isi Post Ko Update Karna Awar Kuch Data Is May Mazeed Dalana hay .
Jaisy Kuch peragraph Ya Kuch Images Waghaira .Is May Title Awar discription Permalink shamil nahi hain.
jab google dobara crowl kary ga .
To Daikhy ga is may Kuch Izafa hwa bay.

Wp Last Modified .
Ye Plugin Karain In Ka Plugin Ye kam karta hai .keh ge meta tag may Aik Code Shamil Karta Hay Jo Search Engenes Ko Notified Karta Hay Keh Ye Post Update Howi Bay.


  • Adding Video To The Post.


Adding Video To the Post 
_____________________________

Aik Awar Tip >>Is Post May Apna Aik Video BanainYa kisi ki Video Is Post May Izafa Karain .
Isky Baad Isko Video sharing Kay site per add karain Awar apni site ka link day dain 
Ya is Post ka bhi Link Day dain..
Search Ingenes aysy Post ko buhut ahmeyat dety hain .


  •  Upload Video To Web.


Ab hm nay Aik Vido Banayi jo is post kay een mutabiq thi is kay baad may nay is ko youtube per upload kya .
Awar Is ka Description May Us Ka Link Day Dya .is kay ilawa ham nay ye kam dosry video sharing sites per bhi kya .
Video add karny ka aik faida ye bhe hota hay kay User Is page Per Zyada Time rakhta Hay .
is say Bouns rate kam ho jata hay jo kisi bhi website ki ranking may buhut acha asar parta hay.

___________________________________

Ye Do Follow Backlink Nahk Hain. Lakin phir bhi faida mand hain .Is say kam az kam Domain Autharty  Awar Page Autharty main tu izafa zaroor hoga Awar post zyada SEO Fraindly hogi.
Awar Jald is ka acha result samny Aeyga .
Yahoo! Awar bing Thoora Zyada Time Laty hain Indexing Main.


  •  Submission to Blogg Directories.

Aap jab kisi blogg main apna link add karty hain to aap ko blogg kay blogg ki  janib aap ko aik link mil jata hay..
Aaj kal ye itna behtar nahein keonky kisi zamany main ye buhut kaam karta tha .
lakin google nay buhut say directory is waja say ban kar dye ky link spaming hoti thi ab ye dekhna parta hay keh jiss directory main ham apni website add kar rahy hain wo is qabill hay ya nahein in ki ranking awar traffic wagheera kya hay.
Aap ko kaisy pata chalyga ky ye directory kam ki hay ye nahi ?
tu aap  is ko alkksa per chick ker sakty hain. google may bhi check kar sakty hain .keh google nay is ko ban ya penalyze tu nahi kya .
Agar Search main arahi hay tu teek hay Awar alksa main rank bhi teek hay .tu is may apna blogg ya website add ker sakty hain .
kuch directory aik hafty main aap ka blogg add karty hain awar kuch .Awar kuch maheeny (Months ) laga laty hain .
in ka faida ye hain k aap ko backlink mil jata hay .aksar directories aap say reseprocal link ka mutalba karty hain .
ky aap bhi hamara link lagain .
start main aap aik page banayen jin main aap resporecal link add kerty hain .
is lye har blogg directory main aap nay apna link add nahi karna .pahly dekh layna i ki ranking kaisy hay.
Awar google main a'a bhe rahi hay ya ban hay .


  • Do Follow And No Follow :


   Do follow article director .
By default har link do follow hota hay. jab tak webmaster is ko no follow na banayen .search engenes har website ka source code dekhta hay.
is may aik no follow code aysa bhi hay ke jiss ka matlab hota hay .
ky agar koi link meri site say baher ja raha hay tu wo aik Externel no follow link hongy.awar jo mery site kay andar hay wo follow link hongay .
 is main inko search engenes read karengy .


  • Submiting Articles.


Jaha bhi aik article add karengay wo aysi directoreis honi chahye jo do follow link dain.
Har Directory ka mukhtalif  Mayar hota hay kuch aik (1)aik link ka do follow daity hain kuch (2) ka awar kuch (3) links ka do follow daity hain.
Is list aap nay apny article post karni hay awar do follow link lainy hain.Awar aap nay Biyodata may bhi apna link add kar sakty hain.


  • Blogg Commenting.


Blogg Commenting may aap ko do follow awar no follow dono link mil sakty hain .
lakin in main ap ko blance rakhna hoga t keh sab kuch natural lagy.
ye nahi ky spaming shroo kar dain . 
Din main 10  Comments karty hain maheeny main 3:2 Gast post kar daity hain .
hafty main 5-6 Article post kar daity hain.
Tu per Teek hay warna spam ho jaega .
Awar ye Samjy SEO name hay ralyvensi Awar high backlinks ka awar high quality content ka .
jo bhi comment karain wo bura n lagy acha sa comment ho Awar topic say related ho aysa blogg ya site search karo jo aap ky blog/topic say related ho .


  • Dropmylink.com. 

Yahan ja kar Aap mukhtalif qism ky blogg talash kar sakty hain 
 awar aik list bhi banayen apny faverite blogs ki jahan app Comment karty hain jo aap kay topic  say related hu .
us say domain authorty barhy gi.



  • Forum Post To Get Backlinks.



  Forum Say Murad Wo Websites  Hoti hay.
Jaha aap register ho kar is may shamil ho sakty hain.
yaha aap sawal karty hain awar dosray aap ko jawab daity hain .
issy tarah mukhtalif qism kay forums hoty hain jin kay mukhtalif topics hoty hain .
is forums ko istemal may laty hwy ham backlinks hasil kar sakty hain .
Is may follow awar do follow links hoty hain .
agar koi aysa sawal hota hai jiss kah mutaliq aap ki website per koi article ya post waghaira ho tu aap jawab may bata sakty hain ky aap kay swal ka  jawab yahan moujood hay.

___________________________________________
Agar Aap chahty hain k ap ka link kisi achy page per aajae tu agar aap kisi taleemi idary may kam kar rahy hain .ya party hain .
tu aksar taleemi idaaroon main kuch forums per  accesoreis daity hain k wo bloggs hoty hain .
ya pages hoty hain jo is taleemi idroon say jury hoty hain aap un main bhi apna link share kar ky rake kar sakty hain.


  •  Video Markeeting



Video markeeting Aaj kal Buhut Aham Hay .Internet Per Buhut Sy Video sharing Websites hay.
Aap Wahan Upload Karsakty hain.
Agar Aap Aik Article Lekhty Hain .To Ap Aik Hi Site Per Publish Ker Sakty Hain .Lakin Video May Aysa Koi Masla Nahi Hota .
Video May Duplicate Ka Masla Nahi. Aap Im Video Kai Jaga Upload Kar Sakty Hain.
Is say Na Sirf Aap Ko Traffic Milti hay .Belky Aap Agar Apny Article May Video Shamil Kareengy Tu Aap Ki Article Ki Worth Barh Jaeegy .
Ranking Main Izafa Ho Sakta Hay .Awar Aysy Sites Jiss May Video Hoti Hay Us Webaites Ko google spam ya ban buhut kam karta hay .
Awar Site De Ranking Bhi Nahi Hoti . Ya buhut Mushkil Say Hoti Hay .
Awar app Isi tarah SEO main Bhi Izafa Karsakty Hain.


●  Slide Sharing Websites



In Websites per aap apni website ka link day sakty hain .jab aap apni presentation slides shows bana kar add kar sakty hain.
Awar is Presentation Kay Andar Bhi Aap Apni website ka link day skty hain .
Is kay lye aap powerpoint use kar sakty hain .
Is kay end main aap apni website ka link bhi de sakty hain .
Awar Kuch website link description main bhi de sakty hain .
Is say aap ka traffic Awar Ranking Behtar Hoti Jaegy .
  • agar aap apni website main slide shows Dalaingy tu Aap ki Site Mazeed Behtar Hogi 


  • Social Book Marking .  Social Book Marking Wo Sites Hoti Hai Jahan aap Apni Website Ko Share Karsakty Hain .       Awar Save Bhi kar Sakty Hain Kuch Main Aap ko Do Follow Awar Awar Kuch Main Links Milaingy Say aap ki ranking Barhy gi Awar Traffic Bhi milagy .
Lakin Aap In Ko Alexa rank mai. Check Kar Lain Awar Aik Din Main 10 Say zyada Post Na Karain . jahan Bhi Aap Profile banaty hain Aap wahan apna site zaroor dain.



  •  Guest  Blogging   


Is kay 4 Important Tareeky Hain Jaisy Gast Blogging  .Gast blogging aik zamany main buhut mashahoor thy Baad main google nay is bat par warning Dee Keh Agar aap Nay Nichles Andaz Main Gaste Blogging Na Ki .
Tu Aap Ko De Index Awar Awar Ban Bhi Kia Ja Sakta Hay .
Is Lye Aysa Karny Kay Lye Ihtyat Karna Zroori Hay.
Link Building Kay Lye Automatic Kam Na karain Kabhi Koi Software Istemal Na karain . Na Kuch wts Istemal Karain Sab Kuch Natural Andaz Say Karain .Warna Google Aap Ko Ban Bhe Kar sakry hain

7 comments:

mystatus said...

You need to hard work .
And upload some article with
Design .
Thanks

mystatus said...

Adsense aproval kab milyga
Sir plz

Abu talha said...

Yessir.abhi nai melyga

ismailseri said...

Ismail seri promot my website://inamseri

Unknown said...

Nice helpfull website for onlone working

www.SocialStory.Design said...

that is all great😍 😍
🏆 #1 Social Story ✨ Design App 🔥🔥 @ www.SocialStory.Design 🆕🆕

samuelwinter said...


To activate your ESPN account visit espn.com/activate and follow the activation process. You can also make a call on our number
espn.com/activate